Darr

Sehma sa hun aur kaapta bhi hun

Dhoondhti aankhein pr main laapata sa hun

Khud ko gaali deta aur khud he udaas hun

Koi nhi saath aur sab bolte main pass hun

Garmi Mae bhi main kaapta hun

Apni jindagi ko lifespan se naapta hun

Sochta ki marne ka waqt kab aayega

Aise tu mujhe dill kab tak satayega

Koi zoor se bolde toh main Darr jaata hun

Khud ki parchai se bhi lad nhi paata hun

Ziddi hun khud ki saari baatein manwata hun

Pr sunne wala koi nhi isiliye khud ko bhi na suna pata hun

Aansu mere kabhi bhi aa jate hain

Aur na mard wala tag lagake jaate hain

Jitna bhi khush ho lu harr baar rulate hain

Insaan nhi ab hum shaitan paalte hain

Thoda sa weak hun aur thoda sa soft

Question always in my mind

Ki society will accept me or not

Insaano se jada toh jaanwar shi hain

Unko chod ke jaana aata he nhi hain

Sapno Mae he lagta hain main jinda hun

Din Mae toh apne harr gam ko Peeta hun

Dill poochta main kyu itna sehta hun

Aaj apni maut ka aauzar main khud dhoondhtaa hun

Pass hain maa phir bhi darr utna he lagta hain

Bhagwan ka hona na hona mujhe farak nhi padta hain

Itna saara dard tumhe kha lekar jaana hain

Ek din issi maut ke kabra Mae he soo Jana hain

Ye Paisa aur fame tujhe kha Tak lekar jayega

Inn sab se haar kr tu apni maa ke pass wapas aayega

Tu issi mitti se bna hain aur issi mitti Mae khatam ho jayega

Mehnat nhi krega toh khud ko saabit kaise kr payega

I know ki tu thak sa gya hain

I know ki tere liye samay ruk sa gya hain

I know ki tu bebas aur lachaar pada hua hain

I know ki tu khud ko bhi maar chuka hain

I know ki mental health koi nhi samajhta hai

I know ki depression marne ko bolta

I know ki harr pal tujhe Darr sa lagta

I know ki tu khud ko bhi noochta

Pr ye sab toh part of life hain na

Harr muskil ka ilaaz teri ek smile hain na

Gire ga tu abhi bahut baar

Pr khudse kabhi mat maana apni haar

Write a comment ...

Harsh Singh

Show your support

If you like then i am obliged if u reward me....

Write a comment ...

Harsh Singh

I write short hindi poetries written by myself...many a times they are sad poetries.....